இந்த ஆன்மீக பதிவில் (Aao Mahima Gaye BholeNath Ki) – Shiva Bhajans பதிவிடப்பட்டுள்ளது… இந்த பாடல் வரிகளை படித்து இறைவனின் அருளை பெறுவோம்… Aao Mahima Gaye BholeNath Ki ஏதேனும் திருத்தங்கள் இருந்தால் எங்களுக்கு கமெண்ட் வழியாக தெரியப்படுத்தவும்..
Aao mahima gaye bholenath ki
Bhakti me kho jaye bholenath ki
Aao mahima gaye bholenath ki
Bhakti me kho jaye bholenath ki – 2
Bholenath ki jai shambhu nath ki jai
Gauri naath ki jai dina naath ki jai
Aao mahima gaye bholenath ki
Bhakti me kho jaye bholenath ki
Mukh par tej hai ang bhabhuti gale sarp ki maala
Mathe chandrama jata me ganga
Shiv ka roop nirala antaryami sabka swami
Antaryami sabka swami bhakto ka rakhwala
Teeno lok me baat rahe hai ye din rata ujala
Jai bolo jai bolo bholenath ki
Bhakti me kho jaye bholenath ki
Bholenath ki jai
Shambhu nath ki jai
Gauri naath ki jai
dina naath ki jai
Aao mahima gaye bholenath ki
Bhakti me kho jaye bholenath ki
Hari om namah shivay namah – 4
Pee ke bhang tarang me jab jab bhola shankar aaye
Haath me apne damru lekar naache aur nachaye
Jobhi shraddha aur bhakti ki
Jobhi shraddha aur bhakti ki mann me jyot jalaye
Mera bhola shankar uspar apna pyar lutaye
Jai bolo jai bolo
Bhakti me kho jaye bholenath ki
Bholenath ki jai
Shambhu nath ki jai
Gauri naath ki jai
Dina naath ki jai
Aao mahima gaye bholenath ki
Bhakti me kho jaye bholenath ki – 3
Paar lagaye shiv bhole
Bigdi banaye shiv bhole
Kasht nivare shiv bhole
Dukh door kare shiv bhole
Jai bolo deena naath ki
Jai bolo gauri naath ki
Jai bolo badri naath ki
Jai bolo shambhu naath ki
Hai sabse nayare shiv bhole
Hai sabse pyaare shiv bhole
Hai damru wale shiv bhole
Bhole bhandari shiv bhole
Jai bolo deena naath ki
Jai bolo gauri naath ki
Jai bolo badri naath ki
Jai bolo shambhu naath ki
Paar lagaye shiv bhole
Bigdi banaye shiv bhole
Kasht nivare shiv bhole
Dukh door kare shiv bhole
(aao mahima gaye bholenath ki) is given in this article and it is one of the best songs during our prayer or during any auspicious occasions. Let’s get the blessings by reading this song lyrics. You can find this song by using the following terms like பாடல் வரிகள், Shiva Songs, Maha Shivratri Bhajans. You can also save this post Aao Mahima Gaye BholeNath Ki or bookmark it. Share it with your friends…